Immunity Boosters

Up next


Devi Bhajans By Anuradha Podwal - Friday Special

134 Views
Vaaruni Agarwal
3
Published on 15 Mar 2019 / In Bhajans

Mangal mai bhaya mochini, Durga sukh ki khaan Jiske charno ki sudha, Swayam piye bhagwaan
Dukh nashak sanjeevani, Nav durga ka paath Jisase banta bhikshuk bhi, Duniya ka samrat Amba divya swarupani, Kaye so prakash Prithvi jisase jyotirmay, Ujawal hai aakash Durga param sanatani, Jag ke sirjan haar Aadi bhawaani maha devi, Shristi ka aadhaar Jai jai durge maa... Sadd marg pradarshini, Nyan ka ye updesh Man se karta jo manan, Usake kate kalesh Jo bhi vipatti kaal mein, Kare ri durga jaap Puran ho man kamna, Bhage dukh santap Utpan karta vishv ki, Shakti aprampar Iska archan jo kare, Bhav se utre paar Durga sok vinashini, Mamta ka hai roop Sati satvi satvanti, Sukh ke kala anup Jai jai durge maa... Vishnu brahma rudra bhi, Durga ke hai adheen Buddhi vidya vardhani, Sarva siddhi praveen Lakh chaurasi yoniyan, Se ye mukti de Maha maya jagdambike, Jab bhi dayaa kare Durga durgati nashini, Shiv vahini shukhkar Ved mata ye gayatri, Sabke palanhar Sada surakshit wo jan hai, Jis par maa ka haath Vikat dagariya pe usaki, Kabhi na bigde baat Jai jai durge maa... Maha gauri vardayini, Maiya dukh nidaar Shiv duti bramhachaarini, karti jag kalyan Sankat harni bhagwati, Ki tu mala pher Chinta sakal mitayegi, Ghadi lage na der Paras charnan durga ke, Jhuk jhuk matha tek Sona lohe ko kare, Adbhut kautak dek Bhavtarak parmeshwari, Leen kare anant isake vandan bhajan se, Paapo ka ho ant Jai jai durge maa Durga maa dukh harne waali, Mangal mangal karne wali Bhay ke sarp ko marne wali, Bhav needhi se jag taarne wali Atyachar pakhand ki damni, Ved purano ki ye janani Daitya hi abhiman ke mare, Deen heen ke kaaj sanwaare Sarv kalaon ki ye malik, Sarnagat dhan heen ki palak Ichchhit var pradan hai karti, Har mushkil aasan hai karti Dhyamari ho har bhram mitave, kan kan bhitar kala dikhave Kare asambhav ko ye sambhav, Dhan dhanya or deti vaibhav Maha siddhi maha yogini mata, Mahisa sur ki mardini mata Puri kare har man ki asha, Jag hai iska khel tamasha Jai durga jai jai damyanti, Jeevan dayini ye hi jayanti Ye hi savitri ye koukari, Maha vidya ye karo upkari Siddh manorath sabke karti, Bhakt jano ke sankat harti Vish ko amrit karti pal mein, Yehi tairati patthar jal mein Iski karuna jab hai hoti, Maati ka kan banta moti Patjhad mein ye phool khilaave, Andhiyare mein jyot jalaave. Vedon mein varnit mahima iski, Aisi sobha or hai kisaki Ye narayani ye hi jwaala, Japiye iske naam ki mala Ye hi hai sukeshwari mata, Iska vandan kare vidhaata Pag pankaj ki dhuli chandan, Iska dev kare abhinandan Jagdamba jagdiswari, Durga dayaa nidhaan Iski karuna se bane, Nirdhan bhi dhanwaan Chhin masta jab rang dikhaave, Bhagyheen ke bhagya jagaave Siddhi daati aadi bhawaani, Isko sewat hai brahm gyaani. Shail sutama sahkti saala, Iska har ek khel niraala Jis par hove anugrah iska, Kabhi amangal ho na uska Iski dayaa ke pankh lagaa kar, Ambar chhute hain kayi chaakar Rayi ye hi parwat karti, Gaagar mein hai saagar bharti Iske kabze jag ka sab hai, Shakti ke bin shiv bhi sav hai Shakti hi hain shiv ki maya, Shakti ne bramhand rachaaya Is sakti ka sadhak banana, Nisthawan upasak banna Pushpanda bhi naam hai isaka, Kan kan mein hai ghaam isaka

Show more
0 Comments sort Sort By

Facebook Comments

Up next